Na Qabil E Yaqeen - نا قابل یقین - حیرت انگیز واقعہ

Na Qabil E Yaqeen  
نا قابل یقین - حیرت انگیز واقعہ - معلومات

herat-angez-waqia-dilchasp-maloomat-urdu-hindi-herankun-mysterious-plane


Duniya ke herat angaiz ( angez ) aur pur asraar waqiat mein se aik waqia.

1992 ko janoobi America ke aik mulk venzella ke airport par paish aaya jab aik tayyarah achanak airport ki hudood mein namodaar  hwa. heran kun baat yeh ke airport ke kisi bh‬i radar par tayyaray ki naqal o harkat nazar nahi aa rahi thi. yani radar  tayyaray ko catch nahi kar pa rahay thy
airport ke control room se tayyaray ke pilot se rabita kya gaya. . rabita qaim honay par control room mein tayyaray ke pilot ki aawaz sunai di
hum kahan hain? ?
control room ke muntazmeen ke mutabiq pilot ki aawaz nihayat ghabrayi hui aur khaufzadah thi
aap is waqt venzella ke airport ki hudood mein hain
control room se jawab diya gaya
pilot ki taraf se gehri khamoshi chha gai
dobarah rabita karne par jahaaz ke pilot ny bataya ke un ki flight ny New York airport se miami ke liye uraan bhr‬i thi aur is ke sath amlay ke chaar afraad ke ilawa 57 musafir sawaar hain aur inhen 2 July 1955 ko  9 baj kar 50 minute par miami airport par land karna tha
pilot ke is inkishaaf par control room mein gehri khamoshi chha jati hai aur sab log aik dosray ka mun dekhny lagtay hain .
tayyaray ko utrney ki ijazat dete hue control room ny pilot ko bataya ke
aaj october 1992 hai aur aap is waqt janoobi America ke mulk venzella ke airport par land kar rahay hain. .
jis ke jawab mein pilot ki khaufzadah aawaz sunai di
oh mere kkhuda .
control room ke mutabiq.
pilot ny wazeh tor par thandi ahhain bhareen taham aur koi baat nahi ki
tayyaray ko nihayat mahaarat se run way par utaar diya gaya. is douran pilot apne sathi pilot se kehta hai
oh jimmy yeh sab kya ho raha hai. yaqeenan kuch bohat ghalat huwa hai
taham control room mein ko pilot ki aawaz sunai nahi deti. .
isi douran pilot ko kaha jata hai ke aap itminan rakhin aap ki madad ki jaye gi.
 jis ke jawab mein pilot ny kaha ke
inhen kisi madad ki zaroorat nahi
isi douran land crew ki gaariyan jahaaz ki taraf brhhne lagen.
lekin pilot ny cheekh kar kaha
hamaray qareeb mat aana hum ja rahay hain
land crew ke mutabiq tayyaray ke pilot ny cock pitt ki khirki khol kar inhen haath ke isharay se daur rehne ka ishara kya. . crew ke bayanaat ke mutabiq pilot ke haath mein koi file pakri hui thi. aur tayyaray ke musafiron ke khaufzadah chehray. khirkion se chupkay huve they. . isi douran tayyaray ny taizi se uraan bhr‬i aur baadalon mein gayab ho gaya. .. is tamam karwai ka radars par koi record mojood nahi. lekin control room aur land crew ke bohat se afraad ki naqablِ tardeed shhadton aur control room mein pilot ke sath wali guftagu ki rerecording aisay saboot hain. jinhein kisi tor jhutlaya nahi ja sakta. is ke ilawa aik aur saboot jo ke jahaaz ka pilot chor gaya. woh 1955 ka haath se bana kar chapa hwa. woh calendar hai jo cock pitt ki khirki se pilot ke haath se gir gaya tha. jo ke aaj bh‬i mehfooz hai. . is tayyaray ka aaj taq dobarah koi pata nahi chal saka
July 1955 ko flight number 914 ny New York airport se miami ke liye parwaaz ki. taham parwaaz se kuch der baad tayyarah. redar se gayab ho gaya. aur tamam raabtey khatam ho gie. tayyarah miami airport par bh‬i na poanch saka. tamam wasail browe car laane ke bawajood. tayyaray ka pata na chalaya ja saka. aur fazai tareekh mein aik jahaaz hamesha ke liye la patah qarar day diya gaya. lekin achanak isi flight number 914 ny 37 saal baad. –apne amlay aur 57 musafiron sameit venzella airport par –apne honay ka na qabil tardeed saboot chora aur dobarah se fiza ki wosaaton mein gum ho gaya. . is tamam waqia ki videos youtube par dastyab hain. .
mazeed maloomat ke liye yahan click karein

Post a Comment

Yahan Comments Karein

Previous Post Next Post