Area 51 Ki Haqeeqat - ایریا 51 کیا ہے

 Area 51 Ki Haqeeqat - Area 51 Ki Maloomat - Area 51 ki Sachai - Urdu Hindi

Area 51 pichlle kayi saloon se yahan honay walay hadsaat ki wajah se kaafi mashhoor hai, jis mein ufo crash, aliens par tajarbaat, ajeeb o ghareeb ayr craft aur na jinay kya kya kahaniyan mashhoor hain. yeh to nahi kaha ja sakta ke is ilaqay par lagey tamam alzmat durust hain lekin aisa kuch to zaroor hai ke yeh jagah duniya ki sab pur asraar jagah ban gayi hai. aaj ki is post mein un waqeat ke baray mein jaanen ge jis ki wajah se area 51 poori duniya mein badnaam hai .

2014 main boyd bushma nam ke 1 shakhs ne apna bayan record kya bushman ka daawa tha ke woh pehlay area 51 mein air space engineer ki hesiyat se kaam kar chuka hai. is bayan mein is ne bataya ke woh area 51 mein aisi sites par kaam kar chuka hai jis mein ufo aur aliens se mutaliq projects shaamil thay. un ka kehna tha ke woh aik bohat advance level ke space ship project par kaam kar rahay thay. apni isi position ki wajah se woh area 51 mein kisi bhi jagah baghair rokkk toak ke aa ja satke thay. bushman ne yeh ilzaam lagaya ke wahan kaam karne walay staff mein science danon ke ilawa kayi aliens bhi kaam karte thay. jin ki umrein 200 saal se bhi ziyada theen aur woh –apne planet se safar karkay zameen par atay thay. bushman ne bataya ke woh aliens 5 foot tak lambay thay. jin ki lambi ungelian aur jhilli daar paon thay. yeh aliens insanon se kahin ziyada zhaheen aur taaqatwar thay bushman ke is bayan ko kuch log jhoot mantay hain to kuch sach, us government bhi is baat se inkaar kar chuke hai ke bushman Nami kisi shakhs ne area 51 par kaam kya tha .
New mexico ka shehar roswell is waqt surkhiyon mein agaya tha jb 2 July 1947 ko military bees ke paas aik ufo haadsa ka shikaar hwa tha. bataya jata hai ke amirkn military ne is ufo se kayi aliens ki dead bodies bar aamad ki theen. fbi ki dastawizaat se bhi yeh baat saabit hochuki hai ke 1950 se pehlay roswell mein kayi baar aliens utar chuke thay. un dastawizaat mein kayi logon ke bayanaat bhi mojood hain jinhon ne aik jagah par 3 uran tashtrio ko hwa mein urrtay hue dekha tha .
Kuch logon ka maanna hai ke area 51 ke neechay secret bunkers mein insanon aur aliens par tajarbaat kiye jatay hain. log yeh bhi kehte hain wahan kiye jane walay tajarbaat mein science danon ne adhay insaan aur aur adhay aliens bananay mein kamyabi bhi haasil kar li hai. kaha jata un tajarbaat mein aliens ka DNA istemaal kya gaya tha. halaan k un tajarbaat ke koi saboot nahi miley hain .
Aik ufo scientist ne aik alien ki tasweer jari ki hai is ka daawa hai ke taap secret area 51 mein aliens ke tajurbah ke douran yeh tasweer li gayi thi. science daan ke mutabiq usay yeh tasweer 51 area se hi mili thi. yeh tasweer 1947 ki hai. ghhor talabb hai ke roswell ka haadsa bhi isi saal hwa tha. is tasweer ke original print ko baad mein laboratory test ke liye bheja gaya to maloom hwa ke is tasweer ka paper 1947 ka hi hai, is tasweer mein mojood alien ki lambai taqreeban 4 foot hai. is tasweer ki sachaai bhi poori terhan samnay nahi aaski .
Aaj ki post mein bas itna hi. post acha laga to like zaroor karen aap ke comments hamaray liye bohat ahmiyat ke haamil hain. apni aara zaroor den aur post ko apne doston ke sath bhi share kar dein .

Previous Post Next Post